nagar nagar ke des des ke parbat Tiile aur bayābāñ
DhūñD rahe haiñ ab tak mujh ko khel rahe haiñ mere armāñ
din ke ujāle sāñjh kī laalī raat ke andhiyāre se koī
mujh ko āvāzeñ detā hai aao aao aao aao
maiñ bhaTkā bhaTkā phirtā huuñ khoj meñ terī jis ne mujh ko
kitnī baar pukārā lekin DhūñD na paayā ab tak tujh ko
maiñ huuñ aisā paat havā meñ peḌ se jo TuuTe aur soche
dhartī merī gor hai yā ghar ye niilā ākāsh jo sar par