Akhtar-ul-Iman

dilli ki galiyan tin manzar

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995
pahlā manzar
san unnīs sau aḌtīs hai
raat ke koī aaTh baje haiñ
aaj ye sab guzrī bāteñ haiñ
morī darvāze ke bāhar
nashe meñ dhut faujī gore
añgrezī sarkār ke chhore
tāñge vāloñ ko piiT rahe haiñ
tāñge vaale ghabrā ghabrā kar
idhar-udhar sab bhaag rahe haiñ
aur sipāhī aañkh churā kar
dūsrī jānib dekh rahe haiñ
chalte chalte raah meñ ruk kar
maiñ ye manzar dekh rahā huuñ
dūsrā manzar
fat.h-purī masjid ke aage
haath meñ thāme apnā basta
maiñ maktab kī samt ravāñ huuñ
shāhjahāñ ke lāl-qil.e par
goroñ kā pahrā baiThā hai
chandni-chowk meñ dā.eñ-bā.eñ
galiyoñ kūchoñ bāzāroñ meñ
bijlī ke khamboñ par har-sū
Dheroñ laḌke chaḌhe hue haiñ
aur tāroñ ko kaaT rahe haiñ
police golī chalā rahī hai
chalte chalte raah meñ ruk kar
maiñ ye manzar dekh rahā huuñ
tīsrā manzar
gore london chale ga.e haiñ
netā rāh-numā sab ḳhush haiñ
mulk ne paayā hai svārāj
lāl-qil.e par āzādī kā
sah-rañgā parcham lahrāyā
lekin ekā-ekī jaise
parda uTThā manzar badlā
dhuñd sī chhā.ī hai har jānib
jo kuchh hai sab gadlā gadlā
koī nahīñ suntā hai kisī kī
ho ga.e log achānak bahre
railoñ meñ be-sar kī lāsheñ
saḌkoñ par be-dhaḌ ke chehre
harījan bastī kī kuTiyā meñ
ḳhuun se lat-pat lahūluhān
kuTiyā jaise ik shamshān
gāñdhī jī kī laash paḌī hai
Top Urdushayar.com