jab din Dhal jaatā hai, sūraj dhartī kī oT meñ ho jaatā hai
aur bhiḌoñ ke chhatte jaisī bhin-bhin
din to uḌ jaate haiñ
ye sab kaale par vaale bagule haiñ
bargad ke nīche baiTho yā suulī chaḌh jaao
bhaiñse laḌne se baaz nahīñ ā.eñge
gurgal uḌ kar vo pilkhan par jā baiThī
pīpal meñ tote ne bachche de rakhe haiñ
shāyad patjhaḌ kā mausam aa pahuñchā
pattoñ ke girne kī āvāz musalsal aatī hai
phūloñ kī ḳhushbū se kyā kyā yaad aatā hai
chauk meñ jis din phuul paḌe saḌte the