Akhtar-ul-Iman

naqsh-e-pa

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995
ye nīm-ḳhvāb ghaas par udaas udaas naqsh-e-pā
kuchal rahā hai shabnamī libās kī hayāt ko
vo motiyoñ kī bārisheñ fazā meñ jazb ho ga.iiñ
jo ḳhāk-dān-e-tīra par baras rahī thiiñ raat ko
ye rahravān-e-zindagī ḳhabar nahīñ kahāñ ga.e
vo kaun sā jahān hai azal nahīñ abad nahīñ
darāz se darāz-tar haiñ halqa-hā-e-roz-o-shab
ye kis maqām par huuñ maiñ ki bandishoñ kī had nahīñ
hai markaz-e-nigāh par chaTān sī khaḌī huī
udhar chaTān se pare vasī.a-tar hai tīrgī
use phalāñg bhī gayā to is taraf ḳhabar nahīñ
adam ḳharāb-tar mile na maut ho na zindagī
hazār baar chāhtā huuñ bandishoñ ko toḌ duuñ
magar ye āhanī rasan ye halqa-hā-e-bandagī
lipaT ga.e haiñ paañv se lahū meñ jazb ho ga.e
maiñ naqsh-pā-e-umr huuñ fareb-ḳhurda-e-ḳhushī
koī nayā ufuq nahīñ jahāñ nazar na aa sakeñ
ye zard zard sūrateñ ye haDDiyoñ ke joḌ se
havā ke bāzuoñ meñ kaash itnī taab aa sake
dikhā sakeñ vo ahd-e-nau hī zindagī ke moḌ se
Top Urdushayar.com