pompiye dafn thā sadiyoñ se jahāñ
ek tahzīb thī poshīda vahāñ
Dheroñ pathrā.e hue vaqt ke safhoñ ko ulaT kar dekhā
ek bhūlī huī tahzīb ke purze se bichhe the har-sū
vahī maTke, vahī hāñDī, vahī TuuTe piyāle
hoñT TuuTe hue, laTkī huī miTTī kī zabāneñ har-sū
hukmarānoñ ke mahal, un kī fasīleñ, sikke
rā.ij-ul-vaqt jo hathiyār the aur un ke daste
ek tahzīb yahāñ dafn hai aur us ke qarīb
ek tahzīb ravāñ hai,
hukmarāñ bhī haiñ, mahal bhī haiñ, fasleñ bhī haiñ
jel-ḳhāne bhī haiñ aur gas ke chamber bhī haiñ
merī tahzīb ne ab kitnī taraqqī kī hai