Gulzar

kitaben

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
kitābeñ jhāñktī haiñ band almārī ke shīshoñ se
baḌī hasrat se taktī haiñ
koī safha palaTtā huuñ to ik siskī nikaltī hai
ka.ī lafzoñ ke ma.anī gir paḌe haiñ
jo miTTī ke sakoroñ kī tarah bikhrī paḌī haiñ
gilāsoñ ne unheñ matrūk kar Daalā
kitāboñ se jo zaatī rābta thā kaT gayā hai
kabhī siine pe rakh ke leT jaate the
vo saarā ilm to miltā rahegā ā.inda bhī
magar vo jo kitāboñ meñ milā karte the sūkhe phuul aur
Top Urdushayar.com