Gulzar

KHuda

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
puure kā puurā ākāsh ghumā kar baazī dekhī maiñ ne!

kaale ghar meñ sūraj rakh ke
tum ne shāyad sochā thā mere sab mohre piT jā.eñge
tum ne ek samundar haath meñ le kar mujh par Dhiil diyā
maiñ ne nuuh kī kashtī ke upar rakh dī
merī ḳhudī ko tum ne chand chamatkāroñ se mārnā chāhā
mere ik payāde ne terā chāñd kā mohara maar liyā
maut ko shah de kar tum ne samjhā thā ab to maat huī
maiñ ne jism kā ḳhol utaar ke soñp diyaa... aur ruuh bachā lii!
puure kā puurā ākāsh ghumā kar ab tum dekho bāzī!!
Top Urdushayar.com