na jaane kis kī ye Diary hai
na naam hai, na pata hai koii:
ek aur safhe pe yuuñ likhā hai:
''kabhī kabhī raat kī siyāhī,
mahīn lafzoñ meñ ik jagah yuuñ likhā hai is ne:
''tumheñ bhī to yaad hogī vo raat sardiyoñ kī
ik aur safhe pe phir usī raat kā bayāñ hai:
''tum ek takiye meñ giile bāloñ kī bhar ke ḳhushbū,
kuchh aisā lagtā hai jis ne bhī Diary likhī hai
vo shahr aayā hai gaañv meñ chhoḌ kar kisī ko
kuchh ukhḌe ukhḌe, kaTe hue se ajiib jumle,
''kahānī vo jis meñ ek shahzādī chaaT letī hai
''kaḌoñ meñ sonā nahīñ hai,
un par sunahrī paanī chaḌhā huā hai''
ye vaqt kā thaan khultā rahtā hai pal ba pal,
aur log poshākeñ kaaT kar,
kabhī kabhī is pighalte lohe kī garm bhaTTī meñ kaam karte,
ThiThurne lagtā hai ye badan jaise saḳht sardī meñ bhun rahā ho,
magar ye satreñ baḌī ajab haiñ
kahīñ tavāzun bigaḌ gayā hai
''koī nahīñ aa.egā ye kiiḌe nikālne ab
ki un ko to shahr meñ dhuāñ de ke maarā jaatā hai nāliyoñ meñ''