roz-o-shab rahtā hai mujh ko un ke ḳhat kā intizār
kis tarah bahlā.ūñ dil ko kis tarah pā.ūñ qarār
dar pe bāñdhe TukTukī maiñ dekhtī huuñ baar baar
paas mere aaj shāyad aa.egā paiġhām-e-yār
pā ke aahaT nāma-bar kī kuchh sukūñ paatī huuñ maiñ
ik hayāt-e-nau mujhe miltī hai khil jaatī huuñ maiñ
duur hotī hai taḌap kāfūr ho jaatī hai yaas
dekhtī huuñ shauq kī nazroñ se apnī ās-pās
naama kyā aayā ki goyā aa ga.e vo mere paas
phuul jaatī huuñ masarrat se badaltī huuñ libās
paḌhtī rahtī huuñ maiñ pahroñ ant kuchh maatā nahīñ
dard-o-ġham kī dāstāñ bhī ḳhatm hotī hai kahīñ
ḳhat ko āñkhoñ se lagā kar chūmtī huuñ dam-ba-dam
taaki qalb-e-muztarib kī saarī betābī ho kam
toltī huuñ harf saare ishq kī mīzān meñ
aur samo letī huuñ un kā husn apnī jaan meñ