Khalid Irfan

status marriage

Khalid Irfan

maiñ ne status kī ḳhātir kar to lī shādī magar
mashriqī shauhar ko din meñ aa ga.e taare nazar
naav jo mujh ko milī zinda thā is kā nāḳhudā
merī manzūr-e-nazar pahle se thī shādī-shudā
bar-banā.e-maslahat mujh ko hasīñ lagtī thī vo
thī ''citizen'' aur kahīñ se zan nahīñ lagtī thī vo
aaise aaise gul khilā.e us but-e-gulfām ne
murġh ko ullū banā detī thī mere sāmne
kyā pata thā mujh ko pachhtānā paḌegā umr bhar
maiñ ne status kī ḳhātir kar to lī shādī magar
maiñ use shādī se pahle an-jalī kahtā rahā
niim kī Tahnī ko bhī champā-kalī kahtā rahā
misr kī kaalī ho yā ho chiin kī chipTī koī
carbon copy ko aurāq-e-jalī kahtā rahā
ek chīnī se kahā tum sharbat-e-unnāb ho
aur ik misrī ko misrī kī Dalī kahtā rahā
ek pasta-qad thī jis ko padmanī kahtā thā maiñ
bint-e-africa ko hiire kī kanī kahtā thā maiñ
merī majbūrī ne oḌhā thā ġhilāf-e-maslahat
zahar lagtī thī magar us ko ''honey'' kahtā thā maiñ
us ke ḳharrāToñ ko fitrī bāñkpan kahnā paḌā
ful badan aurat thī jis ko gul-badan kahnā paḌā
miT ga.e the us kī tahrīroñ ke sab zer-o-zabar
maiñ ne status kī ḳhātir kar to lī shādī magar
har design har color kā āshnā rakhtī thī vo
aur talāsh-e-bar kā jaarī silsila rakhtī thī vo
ek shauhar ruus kā ik chiin kā rakhtī thī vo
apne bistar par junūbī-asia rakhtī thī vo
band mujh pe kar diye sab pyaar ke raste magar
sābiqa shauhar pe darvāza khulā rakhtī thī vo
pur-tapāk itnī ki mujh par bhūñkne ke vāste
sehn meñ apne sagān-e-ḳhush-navā rakhtī thī vo
saarī duniyā kī ḳhabar rakhtī thī ḳhud se be-ḳhabar
maiñ ne status kī ḳhātir kar to lī shādī magar
mammy daddy se judā māmūñ mamānī ke baġhair
us ke naanā bhī guzar karte the naanī ke baġhair
thā laḌakpan se use zauq-e-kutub-bīnī magar
zinda rahtī thī kitāb-e-āsmānī ke baġhair
us na.ī biivī meñ aisā maġhribī andāz thā
din mire ārām se guzre purānī ke baġhair
vo bhī kuchh urdu meñ kar letī thī Tāmak-Toiyyāñ
maiñ bhī english bol letā thā ravānī ke baġhair
mujh se kahtī thī safā.ī nisf īmāñ hai magar
rest-rōm uTh kar chalī jaatī thī paanī ke baġhair
vāqif-e-atlantic thī be-niyāz-e-ḳhushk-o-tar
maiñ ne status kī ḳhātir kar to lī shādī magar
Top Urdushayar.com