kitāb chhap ga.ī chhe rañge title ke saath
tabā.at aur kitābat koī javāb nahīñ
ye rañg aur ye navve gram kā paper
adab ke baab meñ aisī koī kitāb nahīñ
sajī thī bazm-e-pazīrā.ī ek hotel meñ
jahāñ gulāb se chehre to the gulāb nahīñ
kisī vazīr ne is bazm kī sadārat kī
ye baat mujh ko batāne se ijtināb nahīñ
ḳhushā ki bazm meñ hāzir the radio T.V
nizām-e-gardish-e-daurāñ tirā javāb nahīñ
muqarrarīn meñ shāmil the sab haiñ dānish-var
vo hastiyāñ thiiñ jinheñ dekhne kī taab nahīñ
ye kah ke 'ġhālib' o 'momin' kā de diyā darja
adab meñ aisā koī aur āftāb nahīñ
magar kitāb kī taqrīb-e-rū-numā.ī meñ
kitāb chīḳh rahī thī ki maiñ kitāb nahīñ