siyāsiyāt meñ ūñchā hai naam kursī kā
kiyā hai maiñ ne bahut ehtirām kursī kā
ye gol mez se kahtī hai ab ki to kyā hai
chair ke sāmne sofe kī aabrū kyā hai
koī clerk koī manager kī kursī hai
jahāñ hai nurse vahīñ doctor kī kursī hai
briādrī kī badaulat amiin haiñ mausūf
pachās saal se kursī-nashīn haiñ mausūf
chair pe baiTh ke saare hī shaan vaale haiñ
jo par kaTe the vo ūñchī uḌaan vaale haiñ
ajiib rasm chalī hai ki is zamāne meñ
avaam dhuup meñ kursī hai shāmiyāne meñ
mushā.ere meñ bhī aksar uchhal ga.ī kursī
ġhazal ke chalne se pahle hī chal ga.ī kursī
harām maal se jaa.ez kamā.ī behtar hai
na.ī chair se purānī tipā.ī behtar hai
usī kā zikr basoñ meñ bhī baat baat pe hai
tamām rail meñ jhagḌā isī kī zaat pe hai
mushā.ere meñ bhī jhagḌā isī ibārat kā
kabhī maqām kabhī kursī-e-sadārat kā
banī thī kursī jo ik head-master ke liye
janāb-e-head use le ga.e haiñ ghar ke liye
amānatan jo chair par biThā.e jaate haiñ
vo log ḳhuud nahīñ uThte uThā.e jaate haiñ
kuchh is adā se ye dilkash sifāt chaltī hai
kisī ra.iis kī goyā barāt chaltī hai
ye zā.iqa bhī ajab hai ki chakh nahīñ sakte
ham is kī god meñ tashrīf rakh nahīñ sakte