Khalid Irfan

muslim umma ka America se shikwa

Khalid Irfan

kyuuñ gunahgār banūñ visa-farāmosh rahūñ
kab talak ḳhauf-zada sūrat-e-ḳhargosh rahūñ
shikva america se ḳhākam-ba-dahan hai mujh ko
chūñki is mulk kā sahrā bhī chaman hai mujh ko
gar tire shahr meñ aa.e haiñ to ma.azūr haiñ ham
vaqt kā bojh uThā.e hue mazdūr haiñ ham
U.S.A shikva-e-arbāb-e-vafā bhī sun le
tālib-e-aiD se thoḌā sā gila bhī sun le
terā parcham sar-e-aflāk uḌāyā kis ne
tere qānūn ko siine se lagāyā kis ne
'hilary' se kabhī pūchho kabhī chak-schumer se
har senator ko navāzā hai yahāñ dollar se
jackson-heights kī galiyoñ ko basāyā ham ne
coney-island kī zīnat ko baḌhāyā ham ne
aa ke is mulk meñ rishte hī faqat joḌe haiñ
bam to kyā ham ne paTāḳhe bhī nahīñ chhoḌe haiñ
jab burā vaqt paḌā ham ne sambhālī masjid
kab talak rahtī musalmān se ḳhālī masjid
ham ne kyā jurm kiyā apnī ibādat ke liye
sirf mīlād kiyā jashn-e-vilādat ke liye
ham ne rakkhī hai yahāñ amn-o-amāñ kī buniyād
apnī fitrat meñ nahīñ dahshat o dañgā o fasād
tujh se iqrār-e-mohabbat kī sazā paa.ī hai
ham ne is mulk meñ jhaTke kī chikan khaa.ī hai
gir gayā tez havāoñ se agar tayyāra
pakḌā jaatā hai musalmān yahāñ be-chārā
tū ne ye kah ke jahāzoñ ko karachi bhejā
ye bhī shaklan hai musalmān ise bhī le jā
ham musalmān haiñ dahshat ke ravādār nahīñ
kisī ḳhitte ke bhī insān se bezār nahīñ
ham yahāñ amn ke haamī haiñ tujhe fikr nahīñ
mere qur.ān meñ dahshat kā kahīñ zikr nahīñ
media terā davāt aur qalam tere haiñ
jitne bhī mulk haiñ dollar kī qasam tere haiñ
tū ne jab bhī kabhī māñgā hai tujhe tel diyā
tujh ko jab mauqa.a lagā tū ne hameñ bel diyā
hālat-e-jañg meñ ham log tire saath rahe
taaki duniyā kī qayādat meñ tirī baat rahe
ham tire sab se baḌe halqa-e-ahbāb meñ haiñ
phir bhī tūfāñ se nikalte nahīñ girdāb meñ haiñ
''aiD'' meñ terī ajab ma.arka-ārā.ī hai
maut ke saaz meñ lipTī huī shahnā.ī hai
rahmateñ haiñ tirī aġhyār ke kāshānoñ par
chhāpa paḌtā hai to bechāre musalmānoñ par
Top Urdushayar.com