Khalid Irfan

karachi ka mawasalati mushaira

Khalid Irfan

ahl-e-adab ne phir ye kiyā tajraba nayā
shā.er mavāsalāt kī duniyā pe chhā gayā
mirrīḳh par mushā.era kar lo ki moon par
ham to ab apne sher sunā.eñge phone par
shā.er idhar hai, sadr udhar, sāma.īn udhar
maiñ phūñk mārtā huuñ to bajtī hai biin udhar
dūlhā ko fāsle pe rakhā hai barāt se
matlab ye hai ki duur raho shā.erāt se
America se ġhazal jo paḌhī ham ne lahr meñ
gūñjī hai us kī daad karachi ke shahr meñ
sheroñ meñ aa gayā hai jo maġhrib kā rañg-e-ḳhās
mahsūs ho rahā hai ki shā.er hai be-libās
kis haal meñ kalām-e-balāġhat huā atā
shā.er hai bath-rōm meñ saame ko kyā patā
be-shak mavāsalātī qadam inqilābī hai
aTke jahāñ pe kah diyā fannī ḳharābī hai
shā.er ne sher arz kiyā rāmpūr se
misra uThā diyā hai kisī ne qusūr se
shā.er ne jab bayāz nikālī jahāz meñ
gūñjī haiñ ''vāh-vā'' kī sadā.eñ hijāz meñ
rocket kī tarah sher gire sāma.īn par
shā.er hai āsmāñ pe tabāhī zamīn par
pahle ye hukm thā ki dalā.el se sher paḌh
aur ab ye kah rahe haiñ mobile se sher paḌh
kahte the pahle sher ko misra uThā ke paḌh
aur ab ye kah rahe haiñ ki Da.el ghumā ke paḌh
kahne lage burā.ī ko dozaḳh meñ jhoñk de
maik se duur hai to receiver meñ bhūñk de
jab daad mil rahī thī mujhe sāma.īn se
ik sher laḌ gayā thā kisī mah-jabīn se
maiñ ne jo fāsloñ kī ye dīvār paaT dī
sadr-e-girāmī ne mirī line hī kaaT dī
Top Urdushayar.com