tumhārī dāvat qubūl mujh ko magar tum itnā ḳhayāl rakhnā
beer kisī bhī brand kī ho chikan-fried halāl rakhnā
bharī huī rail meñ chaḌho to tum apnī hurmat sambhāl rakhnā
na.e zamānoñ kā hai taqāzā parā.e hoñToñ pe gaal rakhnā
idhar hai patthar udhar hai lāThī zarā ye Topī sambhāl rakhnā
maiñ apne sar kā ḳhayāl rakhkhūñ tum apne sar kā ḳhayāl rakhnā
pachās ko vo cross kar ke kuchh aur ḳhūñ-ḳhvār ho ga.ī hai
agar use aunty kaho to nigāh meñ haspatāl rakhnā