Khalid Irfan

maine bhi aam rakh diya

Khalid Irfan

goroñ ne mere des par apnā nizām rakh diyā
ek ġhulām uThā liyā ek ġhulām rakh diyā
tum ne ḳhudā ke ghar meñ bhī fitna-e-ām rakh diyā
mere imaam kī jagah apnā imaam rakh diyā
us ne to merī yaad ko dil meñ chhupāyā is tarah
jaise swiss-bank meñ māl-e-harām rakh diyā
shīrīñ-laboñ ko dekh ke maiñ khā rahā thā mango
us ne jo hoñT sī liye maiñ ne bhī aam rakh diyā
ghar meñ luġhat na thī koī jaldī meñ us ke baap ne
binat-e-siyāh-fām kā chāñdnī naam rakh diyā
baiThī huī hai aaj vo bāloñ kī vig utaar kar
goyā sharāb pheñk kar mez pe jaam rakh diyā
mujh ko bulā ke ghar meñ ek shā.er-e-bā-kamāl ne
taaza ta.aam kī jagah taaza kalām rakh diyā
Top Urdushayar.com