Khalid Irfan

taKHrib-karon ki shahadat

Khalid Irfan

ek din jannat meñ bolā ik shahīd-e-haq-shanās

maslak-e-haq par nahīñ hai merī jannat asaas

qātil o zālim dar-e-jannat pe mañDlāne lage

arz-e-pakistan se kitne shahīd aane lage

sāmne jannat ke ye jo ḳhema-e-arvāh hai

ye inhīñ ja.alī shahīdoñ iqāmat-gāh hai

ye shahīd-e-haq samajh baiThe haiñ apne-āp ko

maiñ to jannat meñ na aane dūñgā in ke baap ko

ye agar jannat meñ dāḳhil ho ga.e sirf ek baar

phir kahāñ jā.eñge ham jaise shahīd-e-haq-shi.ār

duudh naharoñ meñ kuchh paanī milā deñge ye log

shahad naddī ko Theke par uThā deñge ye log

qaumiyat mas.ala phir se jagā deñge ye log

merī jannat ke ka.ī suube banā deñge ye log

dahshateñ jannat meñ le ā.eñge pakistan se

huur ko iġhvā karā leñge kisī ġhilmān se

aa.i.e maiñ in shahīdoñ ko milā.ūñ aap se

aap thoḌī duur haiñ jannat ke bus-stop se

aap se miliye ye dushman ke bahut hamdard haiñ

aap shaklan nahīñ naslan bhī dahshat-gard haiñ

dahshateñ ik policy haiñ jis ke maker aap haiñ

tīsrī duniyā ke pahle high-jecker aap haiñ

ye shahīd-e-bā-vafā haiñ mārte the bol ke

rail paTrī ke purze darmiyāñ se khol ke

lamha-e-Dāka-zanī siine pe golī khaa.ī thī

aap ne ik bank ke andar shahādat paa.ī thī

aap pakistan ke ik rahbar-e-mumtāz haiñ

saiñkaḌoñ rūheñ yahāñ bhī in ham-āvāz haiñ

phir shahīd-e-haq ye bolā ai ḳhuda-e-zul-jalāl

ālam-e-arvāh se ja.alī shahīdoñ ko nikāl

qādir-e-mutlaq hai in ko dobāra age de

in shahīdoñ ko duniyā meñ vāpas bhej de

Top Urdushayar.com