Khalid Irfan

bijli ke intizar mein

Khalid Irfan

bahut uchhle vazīr-e-tāb-kārī vo nahīñ aa.ī
andhere meñ ye shab-e-tanhā guzārī vo nahīñ aa.ī
kisī ne chaar chhai das martaba kaaTā thā gāloñ par
maiñ kartā hī rahā machchhar-shumārī vo nahīñ aa.ī
hamāre ishq kī tajdīd meñ thā vāpDā haa.il
andhere hī meñ zulf us kī sañvārī vo nahīñ aa.ī
hamāre mulk meñ nūr-e-adālat aam karne ko
bahut garjā thā adl-e-iftiḳhārī vo nahīñ aa.ī
zarā sī der ko bād-e-bahārī aa.ī thī lekin
taḌap uTThe the garmī se bihārī vo nahīñ aa.ī
mohalle se to sab aa.e the sham-e-ārzū le kar
hukūmat kā thā shāyad paañv bhārī vo nahīñ aa.ī
kiyā santosh ne inkār jab pañkhe ko jhalne se
to chhat par so ga.ī mīnā-kumārī vo nahīñ aa.ī
hamārī bebasī kā ab tamāsha dekhte kyā ho
sitāro tum to so jaao hamārī vo nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com