Wamiq Jaunpuri

dehli

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
hamārī majlis-e-shūrā ke ūñche ūñche mahal
nazar jhukā.e jumūd-e-amal se sar bojhal
vo bebasī ki zarā aage baḌh nahīñ sakte
kitāb-e-vaqt kī tahrīr paḌh nahīñ sakte
bhaḌak rahe haiñ nigāhoñ ke sāmne shole
zabāñ na muñh meñ ho jis ke vo kis tarah bole
ye shahr-e-dillī bahisht-e-nazar jo thā kal tak
banā huā hai jahannam zamīñ se tā-ba-falak
siyāh-shole diloñ kī siyāhiyāñ le kar
uThe haiñ aaj vatan kī tabāhiyāñ le kar
makāñ ko ḳhud hī makīnoñ ne kar diyā barbād
miTā dī apne hī hāthoñ se satvat-e-ajdād
ḳhud apnī teġhoñ se apne hī gardaneñ kāTeñ
taḌaptī lāshoñ se nafrat kī ḳhandaqeñ pāTeñ
tamām shahr pe chhā.ī huī hai ik vahshat
nazar jhapakte hī kaisī badal ga.ī hālat
dukāneñ luT rahī haiñ goliyoñ kī bārish hai
siyāhkāroñ se ahl-e-duval kī sāzish hai
darinde dauḌte phirte haiñ saḌtī lāshoñ meñ
lahū se tar kiye nāḳhūn gosht dāñtoñ meñ
gharoñ kā haal to bāzār se bhī bad-tar hai
jidhar uThāo nazar zindagī mukaddar hai
jo luT chuke haiñ vo ghar saa.eñ saa.eñ karte haiñ
jo jal rahe haiñ abhī sard aaheñ bharte haiñ
nikal paḌe haiñ makānoñ ko chhoḌ kar shahrī
jab aabrū pe ban aa.ī to maut kī Thahrī
hazāroñ auratoñ kā aaj luT rahā hai suhāg
na jaane kitnī tamannāoñ meñ lagī hai aag
yatīm bachche bilakte haiñ godiyoñ ke liye
ġharīb shahr taraste haiñ roTiyoñ ke liye
ujaḌ ke kitne ma.ābid bane siyah-ḳhāne
jo aadmī ko na samjhā ḳhudā ko kyā jaane
ye haal dekh ke sakte meñ aa ga.ī hai fasīl
tamām qile kā maidāñ banā hai ḳhuun kī jhiil
bahā.e baiThī hai aañsū lahū ke chandni-chowk
karol-bagh ke dil meñ qaroliyoñ kī nok
purānī dilī se bhī baḌh ga.ī na.ī dillī
purāne qile meñ jā kar basī na.ī dillī
hazār baar ye bastī ujaḌ ujaḌ ke basī
hazār baar ye dillī bigaḌ bigaḌ ke banī
magar kuchh ab kī dafa is tarah ke charke haiñ
ki jitnī choTeñ haiñ utne hī dil ke TukḌe haiñ
ye juḌ to sakte haiñ lekin kahāñ hai vo marham
jo TuuTe rishtoñ ko qaumoñ ke kar de phir bāham
magar ye kaise ho jab chārasāz ḳhud lāchār
ilaaj kaun kare jab tabīb ḳhud bīmār
hamārī majlis-e-shūrā ke ūñche ūñche mahal
nazar jhukā.e jumūd-e-amal se sar bojhal
Top Urdushayar.com