Wamiq Jaunpuri

zamir

Wamiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1909-1998
ruuh nāpāk mirī qalb bhī nāpāk mirā
nafs-e-ammāra bahut ho gayā bebāk mirā
bojh meñ apne hī maazī ke dabā jaatā huuñ
apnī hī aag meñ ab ḳhud hī jalā jaatā huuñ
kis taraf jā.ūñ kahāñ dho.ūñ maiñ apnā dāman
mere maqtūl mire saath haiñ be-ġhusl-o-kafn
dekhtā huuñ shab-e-tārīk meñ jab maiñ taare
nok-e-neza pe nazar aate haiñ kitne bachche
aaj tak yaad haiñ mujh ko vo nigāheñ māsūm
in hī hāthoñ ne jinheñ kar diyā baḌh kar mādūm
chhātiyāñ maaoñ kī hañs hañs ke haiñ maiñ ne kāTīñ
haDDiyoñ se mirī talvār ne saḌkeñ pātīñ
apnī har zarb kā ab ḳhud hī nishāna huuñ maiñ
jurm unvān ho jis kā vo fasāna huuñ maiñ
maiñ ne ismat ke sanam ḳhānoñ ko mismār kiyā
apnī bahnoñ ko supurd-e-sar-e-bāzār kiyā
kitne mah-pāre hue ḳhud mirī zulmat kā shikār
kaun kar saktā hai ab mere gunāhoñ kā shumār
chauñk chauñk uThtā huuñ rātoñ ko maiñ aksar ab bhī
chīḳheñ rah rah ke mire kānoñ meñ aatī haiñ vahī
apne kirdār ko ab kaise bhulā.ūñ ai dost
apnī hī laash ko ab kaise uThā.ūñ ai dost
khaa.e jaatā hai mujhe ab mire maazī kā ḳhayāl
kyā mire jurm kī pādāsh hai is darja muhāl
Top Urdushayar.com