daadī ke paas aa ke munne lagā ye kahne
dekho to pyārī daadī kyā hai banāyā maiñ ne
kāġhaz vo reshmīñ jo tum ne diyā thā daadī
ye dekho maiñ is kī ik naav hai banā dī
lekin batāo mujh ko kaise ise chalā.ūñ
tālāb yā nadī yā naala kahāñ se lā.ūñ
hañs kar ye bolīñ daadī Thahro zarā sā beTā
laao kitchen se jā kar tasla jo hai baḌā sā
tasle meñ bhar ke paanī munne se bolīñ daadī
lo dekh lo ghar meñ maiñ ne nadī banā dī
chhoTī sī is nadī meñ naav jo chal rahī thī
munne bhī hañs rahā thā munnī bhī hañs rahī thī
daadī bhī thiiñ bahut ḳhush bachchoñ kī is ḳhushī se
detī thiiñ vo duā.eñ bachchoñ ko jān-o-jī se