Ismail Merathi

subh ki aamad

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
ḳhabar din ke aane kī maiñ lā rahī huuñ
ujālā zamāne meñ phailā rahī huuñ
maiñ sab kār-behvār ke saath aa.ī
maiñ raftār o guftār ke saath aa.ī
azaañ par azaañ murġh dene lagā
ḳhushī se har ik jānvar boltā hai
ye chiḌiyāñ jo peḌoñ pe haiñ ġhul machātī
udhar se udhar uḌ ke haiñ aatī jaatī
jo tote ne bāġhoñ meñ Teñ Teñ machā.ī
to bulbul bhī gulshan meñ hai chahchahāī
har ek baaġh ko maiñ ne mahkā diyā hai
nasīm aur sabā ko bhī lahkā diyā hai
huī mujh se raunaq pahāḌ aur ban meñ
har ek mulk meñ des meñ har vatan meñ
jo is vaqt jañgal meñ buuTī jaḌī hai
so vo nau-lakhā haar pahne khaḌī hai
hiran chauñk uThe chaukḌī bhar rahe haiñ
kiloleñ hare khet meñ kar rahe haiñ
meñ tāroñ kī chhāñ aan pahuñchī yahāñ tak
zamīñ se hai jalva mirā āsmāñ tak
pujārī ko mandir ke maiñ ne jagāyā
muazzin ko masjid ke maiñ ne uThāyā
lade qāfiloñ ke bhī manzil meñ Dere
kisānoñ ke hal chal paḌe muñh-añdhere
bigul aur tañbūr sañkh aur naubat
bajāne lage apnī apnī sabhī gat
lo hoshyār ho jaao aur aañkh kholo
na lo karvaTeñ aur na bistar TaTolo
baḌī dhuum se aa.ī merī savārī
jahāñ meñ huā ab mirā hukm jaarī
Top Urdushayar.com