Mahirul Qadri

tawaif

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
ai zan-e-nāpāk fitrat-e-paikar-e-makr-o-riyā
dushman-e-mehr-o-vafā ġhārat-gar-e-sharm-o-hayā
terī ho shoḳhī lachar hai terā har andāz poch
saḳht-tar hai sañg-o-āhan se tirī bāhoñ kā loch
terā zāhir ḳhushnumā hai terā bātin hai siyāh
har adā terī mukammal dāvat-e-jurm-o-gunāh
terī chuTkī kī sadā hai yā ki shaitāñ kā ḳharosh
rahm kar insāniyat par o but-e-ismat-farosh
al-amāñ ai tere masnūī tabassum kā fareb
thartharā uThtī hai jis ke zor se nabz-e-shakeb
ye nazākat kī numā.ish ye fareb-āmez chaal
dosh-e-hastī par terā nāpāk hastī hai vabāl
tere har ġhamze kī tah meñ hai banāvaT kā shikva
jis ke aage sar-ba-sajda ma.asiyat ke dasht-o-koh
terā chehra arġhavānī terā dil-e-be-āb-o-rañg
zindagī kyā hai tirī qānūn se fitrat ke jañg
terī peshānī kā har ḳhat māsiyat-ālūda hai
terā har iqdām nā-farjām hai ba-hūda hai
tere hoñToñ par hañsī hai dil tirā afsurda hai
tū ba-zāhir jī rahī hai ruuh terī murda hai
tū husūl-e-zar kī ḳhātir kis qadar bechain hai
kasab-e-daulat zindagī kā terī nasabulain hai
tere maz.hab meñ hifāzat aabrū kī hai gunāh
māñgtī hai terī bātoñ se nissā.iyat panāh
terā dil hai zañg-ālūda magar chehra hai saaf
tere zāhir aur bātin meñ hai kitnā iḳhtilāf
jāntī hai apnī rusvā.ī ko to vaj.h-e-numūd
sinf-e-nāzuk kī khulī tauhīn hai terā vajūd
terī bedārī nahīñ hai ik musalsal ḳhvāb hai
kyā tū vāqif hai ki ismat gauhar-e-nāyāb hai
jāntā huuñ terī bāhoñ kī lachak ko bad-shi.ār
kyuuñ dikhātī hai jaḌāv kañganoñ ko bār-e-abr
merī nazroñ ko ḳhudā-rā dāvat-e-kāvish na de
jagmagāte motiyoñ ke haar ko jumbish na de
reshmīñ rūmāl se hoñToñ kī surḳhī ko na chhū
mujh pe chhal saktā nahīñ terā fareb-e-rañg-o-bū
zulf-e-mushkīñ ko hinā.ī uñgliyoñ se mat sambhāl
khul chukā hai merī nazroñ par terā rāz-e-jamāl
reshmīñ saaḌī ko sar se ḳhud hī Dhalkātī bhī hai
bil-irāda be-hayā.ī kar ke sharmātī bhī hai
siskiyāñ bhartī hai to añgḌā.iyāñ letī hai to
uf ai makkāra bharī mahfil ko jal detī hai tū
koī ho jaatā hai jab tere tasanño kā shikār
chupke chupke kaam kartā hai fareb-āmez pyaar
tū dilā detī hai us ko apnī ulfat kā yaqīñ
sach to ye hai tere kaaTe kā koī mantar nahīñ
zindagī ko is kī yaksar talḳh kar detī hai tū
kaañp jaatā hai jigar vo chuTkiyāñ letī hai tū
bhāgtā hai jaise koī saañp kī phunkār se
duur rahnā chāhiye yuuñ hī tire kirdār se
Top Urdushayar.com