Asna Badr

achchhi urdu piyari urdu

Asna Badr

Bareilly, Uttar pradesh, India

1971
achchhī urdu pyārī urdu
kuchh der to mujh se baat karo
jo niil gagan se aa.ī ho
to raushan merī raat karo
jo komal sundar laḌkī ho
to dil apnā sauġhāt karo
jo baazī rakkho chāhat kī
tum jiito ham ko maat karo
in phīke phīke lafzoñ par
sab bejā ḳhuub akaḌte haiñ
sab jānte haiñ tum boltī ho
to phuul laboñ se jhaḌte haiñ
sab apne adhūre jumloñ meñ
ye hiire motī jaḌte haiñ
sab tum se aañkh milāte haiñ
sab paañv tumhāre paḌte haiñ
ham ne to yahī dekhā hai yahāñ
jo tum ne kahā vo riit banā
ham ne to yahī samjhā hai yahāñ
sar tum ne diye sañgīt banā
ham ne to yahī jaanā hai yahāñ
tum se hī koī man miit banā
nazmoñ ne hameñ chūmā baḌh kar
aur mīThā sachchā giit banā
lekin ye tumhārī qismat hai
haat aa.ī hai aisī tanhā.ī
phirtī ho kahīñ maarī maarī
jo miltā hai so harjā.ī
har roz ke dhoke rāhoñ meñ
har roz jabīñ par rusvā.ī
har roz zarā sī ḳhush-fahmī
har roz kī mahfil-ārā.ī
jab duniyā ke in meloñ se
thak jaao to mire paas aanā
jab auroñ kī bāñhoñ se kabhī
uktāo to mire paas aanā
maiñ baḌh kar nazr utārūñgī
ghabrāo to mere paas aanā
marham se nahīñ bhar paa.e agar
ye ghaav to mere paas aanā
achchhī urdu pyārī urdu
achchhī urdu pyārī urdu
Top Urdushayar.com