niiñd aanī ho to aa jaatī hai
tez pañkhā ho yā bahut dhīmā
sard mausam ho yā bahut garmī
raat ho din ho shor yā chuppī
saḳht bistar ho silvaToñ vaalā
niiñd aanī ho to aa jaatī hai
aur jab niiñd nahīñ aanī ho
saare ārām reshmī bistar
niiñd kī vādiyoñ se duur kahīñ
palkeñ karvaT badaltī rahtī haiñ
''nīñd ik nāznīñ se kam to nahīñ'' aa.ii, aa.ī kabhī nahīñ aa.ii!