jab añdhere se maiñ Dar jaatā huuñ ab bhī aksar
terī uñglī ko pakaḌne kā ḳhayāl aatā hai
muskurāhaT ho yā aa.heñ yā ḳhushī ke aañsū
har ik ehsās kī lazzat meñ samāyā hai tū
merī āvāz zabāñ aur mirā andāz-e-bayāñ
mere ehsās o ḳhayālāt nazriya imkāñ
sham-e-ummīd laraztī hai sahar se pahle
jab utartī hai thakan dil meñ safar se pahle