kisī gumān kā saaya na shak kī parchhā.īñ
sarāb hai na jharoka nazar kī rāhoñ meñ
na intizār ke ma.anī na sabr ke paimāñ
kisī dishā meñ ufaq bhī nazar nahīñ aatā
añdherā jitnā javāñ hai bharose-mañd utnā
usī ke dam se charāġh-e-ḳhayāl raushan hai
chalo sitāroñ ko khojeñ jalā ke mish.al-e-dil
ufaq nahīñ hai to jugnū qatār band kareñ
yaqīn hai ki añdherā faqat añdherā hai
siyāhī kaalī sahī raushnā.ī hai phir bhī