aaj is shab ke sannāTe meñ niiñd ne āñkheñ pherī haiñ
shahr thakā-hārā ḳhāmoshī kī bāhoñ meñ sotā hai
yahāñ vahāñ ḳhvāboñ ke qatre shabnam ban kar girte haiñ
kabhī kabhī kuttoñ kī āvāzeñ galiyoñ se uThtī haiñ
saḌkoñ par din kī raunaq ke bhuut pareshāñ phirte haiñ
zaḳhmoñ kī mānind hasīñ jismoñ pe baraste haiñ sikke
shīshoñ ke pīchhe afsurda sham.eñ ashk bahātī haiñ
dast-e-talab choroñ ko tārīkī meñ raah dikhātā hai
lamhoñ ke sāhil par shorish-e-hastī lahreñ gintī hai
jaane kitnī ummīdeñ is raat ke dil meñ rotī haiñ
aur mirī nazroñ ke aage
imkānāt ke bhīge bhīge sāyoñ meñ jugnū kī tarah