azīz-tar mujhe rakhtā hai vo rag-e-jāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
vo maañ ke kahne pe kuchh ro.ab mujh pe rakhtā hai
yahī hai vaj.h mujhe chūmte jhijhaktā hai
juḌī hai us kī har ik haañ faqat mirī haañ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
har ek dard vo chup-chāp ḳhud pe sahtā hai
tamām umr vo apnoñ se kaT ke rahtā hai
gile haiñ phir bhī mujhe aise chāk-dāmāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se
purānā suiT pahantā hai kam vo khātā hai
magar khilaune mire sab ḳharīd laatā hai
mire baġhair haiñ sab ḳhvāb us ke vīrāñ se
ye baat sach hai mirā baap kam nahīñ maañ se