ham sadā Dafliyāñ bajāte haiñ
saarī duniyā ko varġhalāte haiñ
Taañg girne se TuuT jaa.e to
aañkh mirchoñ se phuuT jaa.e to
apnī bhoñDī ḳhirad ko bahlā.eñ
ḳhuub sābun se us ko nahlā.eñ
ham ki bas ek vaqt khāte haiñ
shaal kashmīr se mañgāte haiñ
dosto muñh hamārā kaalā ho
gar kabhī sar meñ tel Daalā ho
ham ki sūkhe hue shajar kī tarah
ek uljhī huī nazar kī tarah
ham haiñ expert chālbāzī meñ
doctor jazba-e-majāzī meñ
kaam karte nahīñ akaḌte haiñ
baat be-bāt ham jhagaḌte haiñ