maiñ ne ye kahā kab ki manāne ke liye aa
mujh kaaTh ke ullū ko phañsāne ke liye aa
mere liye aa aur na zamāne ke liye aa
bachche ko faqat duudh pilāne ke liye aa
har roz vahī gosht vahī gosht vahī gosht
ik din to kabhī daal pakāne ke liye aa
jo husn javānoñ ke liye vaqf hai us ko
ik baar to būḌhoñ ko dikhāne ke liye aa
din meñ kabhī hāthoñ kī safā.ī se girah kaaT
shab meñ kabhī sāmān churāne ke liye aa
us huur ko dekhā to ye kahne lagā har shaḳhs
aa aa mujhe lañgūr banāne ke liye aa
vo shaiḳh ki jis kī koī line hī nahīñ hai
us ko zarā line pe lagāne ke liye aa
farsūda tasavvur ke makoḌoñ ko masal de
ulfat ko udhar pheñk kamāne ke liye aa