Asim Badr

tawaif

Asim Badr

Darbhanga, Bihar, India

1992
kabhī dil sochtā hai in tavā.if-zādiyoñ kī zindagī likkhūñ
ki jin ke roz-o-shab koThe kī chhoTī koTharī meñ malgajī sī raushnī meñ zindagī kī talḳhiyāñ chun kar guzartī haiñ
kabhī dil chāhtā hai in tavā.if-zādiyoñ kī zindagī bartūñ

jo din Dhalte hī rozīna badan par ḳhushnumā chādar chaḌhā kar apne hisse kī muñDeroñ se jhalaktī haiñ
Dhalaktī chhātiyoñ ko ik adā-e-be-niyāzī se havas ke nīlgūñ bāzār meñ nīlām kartī haiñ
kabhī dil kulbulātā hai ki pūchhūñ ā.inoñ ke shahr meñ be-chehragī kaisī
vo vahshī jo pas-e-dīvār apne dast-e-jinsī se dur-e-nāsufta kī pākīzgī ko taar karte haiñ
vo chīḳheñ jo pas-e-zindān ghuTtī haiñ sisaktī haiñ vo saa.e jo pas dīvār rulte haiñ kuchalte haiñ
mujhe un kī kahānī ko ghinaunī zindagānī ko yuuñ nazmoñ meñ samone se zamāne ko batāne se bhalā be-pardagī kaisī
Top Urdushayar.com