dard ke lā-matanāhī sahrā se guzarne ke baad maañ ne āñkheñ kholīñ
dekhā duā ke liye uThe haath gir chuke the kyūñki maiñ
maiñ bārah saal kī thī jab mujhe pahlī dafa ḳhuun aayā
daadī baabā sab ke kañdhe izāfī bojh se jhuk ga.e kyūñki maiñ ro rahī thī
maiñ aThārah saal kī thī jab mere ghar pahlā patthar girā aur phir mujhe do ajnabī hāthoñ ne narmī se thāmā
baabā kī aañkh nam ho ga.ī kyūñki maiñ ro rahī thī
mujhe ḳhuun aanā band ho ga.e the aur sab ke haath duāoñ ke liye uTh chuke the
aur phir sab ke haath gir ga.e kyūñki vo ro rahī thī
phir ek din mere bhaa.ī ne ek ḳhuun kar diyā maiñ vinnī ho ga.ī aur sabhī chup rahe
sabhī chup rahe aur maiñ rotī rahī