nuqsān ho rahā hai bahut kārobār meñ
abbā paḌe haiñ jab se paḌosan ke pyaar meñ
sau koshishoñ se aa.e the chañdiyā pe chaar baal
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
nā-ahl hī milī mujhe har ek ahliya
maiñ ne kiye nikāh sab yaaro udhār meñ
bantī na surma pasliyāñ aur phūTtā na sar
hotī agar zabān mire iḳhtiyār meñ
añgrezī guftugū kā baḌā fā.eda huā
chhe saat chāñd lag ga.e mere vaqār meñ
jab se makāñ badal ga.iiñ donoñ paḌosaneñ
lagtā nahīñ hai jī mirā ujḌe dayār meñ