Ahmad Nadeem Qasmi

restaurant

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre
qabroñ ke katboñ par jaise masle masle sehre
ik sāhib jo soch rahe haiñ pichhle ek pahar se
yuuñ lagte haiñ jaise bachcha ruuTh aayā ho ghar se
kitnī sanjīda baiThī hai ye ahbāb kī Tolī
kitne auj-e-balāġhat par hai ḳhāmoshī kī bolī
lambī lambī palkeñ jhapke ik sharmīlī bī-bī
bāloñ kī tartīb se jhalke zehn kī be-tartībī
ik laḌkī aur tiin javān aa.e haiñ kase-kasā.e
sāñvle ruup ko gore mulkoñ kā bahrūp banā.e
apnī apnī uljhan sab kī apnī apnī raa.e
sab ne aañsū rok rakhe haiñ kaun kise bahlā.e
qahqahe jaise ḳhālī bartan luḌhak luḌhak kar TūTeñ
bahseñ jaise hoñToñ meñ se ḳhuun ke chhīñTe chhūTeñ
sukḌī simTī rūheñ lekin jism haiñ dohre tihre
restaurant meñ saje hue haiñ kaise kaise chehre
Top Urdushayar.com