jañgal jañgal aag lagī hai bastī bastī vīrāñ hai
khetī khetī raakh uḌtī hai duniyā hai ki bayābāñ hai
sannāTe kī haibat ne sāñsoñ meñ pukāreñ bhar dī haiñ
zehnoñ meñ mab.hūt ḳhayāloñ ne talvāreñ bhar dī haiñ
qadam qadam par jhulse jhulse ḳhvāb paḌe haiñ rāhoñ meñ
sub.h ko jaise kaale kaale diye ibādat-gāhoñ meñ
ek ik sañg-e-mīl meñ kitnī āñkheñ haiñ pathrā.ī huī
ek ik naqsh-e-qadam meñ kitnī raftāreñ kafnā.ī huī
ham-safro ai ham-safro kuchh aur bhī nazdīk aa ke chalo
jab chalnā hī muqaddar Thahrā haath meñ haath milā ke chalo