Ahmad Nadeem Qasmi

izhaar

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
tujhe iz.hār-e-mohabbat se agar nafrat hai
tū ne hoñToñ ko larazne se to rokā hotā
be-niyāzī se magar kāñptī āvāz ke saath
tū ne ghabrā ke mirā naam na pūchhā hotā
tere bas meñ thī agar mash.al-e-jazbāt kī lau
tere ruḳhsār meñ gulzār na bhaḌkā hotā
yuuñ to mujh se huiiñ sirf āb-o-havā kī bāteñ
apne TuuTe hue fiqroñ ko to parkhā hotā
yūñhī be-vaj.h ThiTakne kī zarūrat kyā thī
dam-e-ruḳhsat maiñ agar yaad na aayā hotā
terā ġhammāz banā ḳhud tirā andāz-e-ḳhirām
dil na sambhlā thā to qadmoñ ko sambhālā hotā
apne badle mirī tasvīr nazar aa jaatī
tū ne us vaqt agar aa.ina dekhā hotā
hausla tujh ko na thā mujh se judā hone kā
varna kājal tirī āñkhoñ meñ na phailā hotā
Top Urdushayar.com