ġharībī ko miTā deñge ġharībī ko miTā deñge
ham apne bāzuoñ kā zor duniyā ko dikhā.eñge
dar-e-insāniyat par zālimoñ ke sar jhukā deñge
ġharībī ko miTā deñge ġharībī ko miTā deñge
kisī ke aish se be-vāsta ranjish nahīñ ham ko
kisī ke sīm-o-zar se be-sabab kāvish nahīñ ham ko
magar ham zulm ke baḌhte hue sho.ale bujhā deñge
ġharībī ko miTā deñge ġharībī ko miTā deñge