Masood Akhtar Jamal

kisanon ka git

Masood Akhtar Jamal

Banaras, Uttar pradesh, India

1915-1981
ye dhartī ye jīvan-sāgar ye sansār hamārā hai
amrit bādal ban ke uThe haiñ parbat se Takrā.eñge
khetoñ kī hariyālī ban kar chhab apnī dikhlā.eñge
duniyā kā dukh-sukh apnā kar duniyā par chhā jā.eñge
zarra zarra is duniyā kā aaj gagan kā taarā hai
ye dhartī ye jīvan-sāgar ye sansār hamārā hai
dukh bandhan kaT jā.eñge sukh kā sandesa aa.egā
miTTī ab sonā uglegī bādal hun barsā.egā
mehnat par hai jis kā bharosa mehnat kā phal pā.egā
apne hī kas-bal kā samundar vaqt kā bahtā dhārā hai
ye dhartī ye jīvan-sāgar ye sansār hamārā hai
sapnoñ ke sundar āñchal se aashā ruup dikhātī hai
apnī hī āvāz kī lai par saarī duniyā gaatī hai
aaj tirañge kī lahroñ meñ bijlī sī lahrātī hai
ek hī vaar meñ ab ai sāthī dushman se chhuTkārā hai
ye dhartī ye jīvan-sāgar ye sansār hamārā hai
Top Urdushayar.com