Maikash Akbarabadi

gautam-budh

Maikash Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1902-1991
ik janāze ko uThā.e jā rahe the chand log
tum ne pūchhā kyā huā kyuuñ jā rahe ho tum malūl
tum ko logoñ ne batāyā mar gayā hai ek shaḳhs
aur yuuñ marte haiñ nādāñ huuñ ki arbāb-e-uqūl
māñgne ko chand paise peT bharne ke liye
jā rahā thā rāste se ek be-bechāra faqīr
tum ne dekhā koī us kā pūchhne vaalā nahīñ
thā maraz meñ mubtalā vo qaid-e-nik.hat kā asiir
chashm-e-haq-bīñ ke liye ibrat ke nazzāre mile
hastī-e-insān pe jo zindagānī dekh kar
aish-o-ishrat ke maze be-kār se sābit hue
naqsh-e-ālam meñ numāyāñ rañg-e-fānī dekh kar
raaj chhoḌā bādshāhat kī ummīdeñ tark kiiñ
ho gayā betāb dil rūh-e-haqīqat ke liye
chhoḌ diiñ āsā.isheñ phirte rahe tum kū-ba-kū
hastī-e-ma.abūd kī nazr-e-aqīdat ke liye
iztirābāna basar kī zindagānī muddatoñ
kulfateñ rah ke uThā.īñ mausamoñ kī shiddateñ
duur bastī se gayā ke ik shajar kī chhāñv meñ
tum ko bil-āḳhir sukūn-e-jāvedānī mil gayā
daf.atan chamkī haqīqat kī tajallī sāmne
mehnat-e-paiham se rāz-e-zindagānī mil gayā
ab bhī pairav haiñ tumhāre tum ho un ke devtā
ab bhī pur un kī aqīdat se tumhārā jaam hai
ye natā.ej haiñ tumhāre be-ġharaz a.amāl ke
tum nahīñ zinda magar zinda tumhārā naam hai
Top Urdushayar.com