Maikash Akbarabadi

holi

Maikash Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1902-1991
ek aurat kī zabān se
chal mirī sundar sahelī ham kahīñ chhup jā.eñge
sāmne jab maiñ na ā.ūñgī bahut ghabrā.eñge
har jagah DhūñDeñge mujh ko DhūñDh kar sharmā.eñge
sāmne aa jā.ūñgī pītam ke ḳhush ho jā.eñge
un meñ maiñ kho jā.ūñgī aur mujh meñ vo kho jā.eñge
mere man ke chheḌne ko mujh se vo baiTheñge duur
maiñ jo uljhūñgī to pītam muskurā.eñge zarūr
uTh rahī hai lahr sī lahrā rahā hai merā man
ho sake to chuum lūñgī aaj pītam ke charan
chhīn kar ākāsh kī godī se taare lā.ūñgī
un ko bhī dāruñgī aur maiñ ḳhud bhī daarī jā.ūñgī
sej phūloñ kī banā.ūñgī maiñ pītam ke liye
barrā se kah do ki ab fursat nahīñ ġham ke liye
aaj pītam ā.eñge aa.egī mere ghar bahār
dekh bigḌā to nahīñ ai aa.ine merā siñghār
uudī uudī badliyoñ se chhan ke girtī hai phuvār
aaj pītam ā.eñge maiñ ho rahī huuñ be-qarār
ban gayā hai zarra zarra mere ghar kā chashm-e-hūr
aaj pītam ā.eñge aa.egā mere ghar meñ nuur
chhiḌ rahī hai rāgnī man kī rabāb-o-chañg se
aaj nahlā.ūñgī pītam ko gulābī rañg se
bhiig jā.eñge to dāman se havā dūñgī unheñ
band kar dūñgī dvāre aaj rokūñgī unheñ
sarv ke saa.e meñ paatī huuñ maiñ pītam kī jhalak
aaj har āvāz meñ suntī huuñ sāġhar kī khanak
pī mire ghar ā.eñge shāyad nahīñ tujh ko ḳhabar
ai papīhe bāvre Topī kahāñ bolā na kar
Top Urdushayar.com