yahāñ ḳhvāb-e-sukūñ-parvar meñ bhī bedāriyāñ dekhīñ
yahāñ har hoshiyārī meñ na.ī sarshāriyāñ dekhīñ
yahāñ kī ghāTiyoñ meñ husn ke chashme ubalte haiñ
yahāñ har chiiz par jazbāt-e-insānī machalte haiñ
pareshāñ manzarī meñ bhī yahāñ fitrat sañvartī hai
ḳhamoshī meñ bhī ik mauj-tarannum raqs kartī hai
vo shālīmār kī rañgīniyoñ meñ husn kā jaadū
vo duniyā-e-shabāb-o-sher vo gulzār-e-rañg-o-bū
nashāt-e-rūh-afzā kī fazāoñ meñ vo rañgīnī
vo favvāroñ kī naġhma-sāziyoñ meñ kaif-e-ḳhud-bīnī
vo joban chashma-e-shāhī kī doshīza bahāroñ kā
ki gul phūle haiñ yā jhurmuT utar aayā sitāroñ kā
vo ūñche parbat aur un par vo bal khātī huī rāheñ
vo har vādī-e-tamannā-ḳhez phailā.ī huī bāheñ
sanobar kī ghanī shāḳhoñ kā vo kaif-āfrīñ saaya
ki jis meñ iztirāb-e-zindagī ne bhī sukūñ paayā
jidhar dekhā udhar ik chashma-e-barfāb hī dekhā
nigāhoñ ne mirī ik manzar-e-sīmāb hī dekhā
yahāñ paanī ke dhāre par charāġh-e-zīst jalte haiñ
yahāñ maujoñ kī godī meñ ka.ī mallāh palte haiñ
kināroñ ke vo barqī qumqumoñ kā aks paanī meñ
ki jaise bijliyāñ taḌpeñ taḳhayyul kī ravānī meñ
jilau-ḳhāne haiñ fitrat ke ki ye rañgīñ fazā.eñ haiñ
ye maujeñ kausar-o-tasnīm kī haiñ yā havā.eñ haiñ
nigāheñ jis taraf uThtī haiñ sheristān hai manzar
latāfat se bharā mausīqiyoñ kī jaan hai manzar
maiñ hairāñ huuñ ki is ḳhitte ko kyuuñ kar sar-zamīñ kahiye
sadāqat kā taqāzā hai ki firdaus-e-barīñ kahiye