īmān kī tafsīr qalandar kā tarāna
samjhe to palaT aa.e bulandī pe zamāna
bebāk nigāhoñ kā falak-bos ishāra
sañgīn chaTānoñ se guzartā huā dhārā
be-tābī-e-fitrat kī sukūñ-baḳhsh kahānī
sho.aloñ se banā.ī huī shabnam kī ravānī
ashkoñ meñ nahā.ī huī ik mauj-e-tabassum
mallāh kā girdāb meñ jis tarah tarannum
ilhām meñ takmīl-e-haqīqat kī adā.eñ
shāhīn kī parvāz mujāhid kī navā.eñ
soī huī qismat ko jagātā huā naġhma
har saañs ko hañgāma banātā huā naġhma
patjhaḌ kī taraf dekh ke hañstā huā bādal
sūkhe hue khetoñ pe barastā huā bādal
ik barq sar-e-tūr takallum ke sahāre
ik jalva-e-mastūr tarannum ke sahāre
ik sham.a rah-e-shauq meñ manzil kī nishānī
ik paikar-e-lafzī kī navā-ḳhez javānī
ik ruuh jo insān ko insān banā de
ik dard jo jazbāt ko īmān banā de
'iqbāl' kā har sher hai mai-ḳhāna-e-hastī
har riñd ko detā hai jo paimāna-e-hastī