Maikash Akbarabadi

wali

Maikash Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1902-1991
ai dakan kī sar-zamīñ ai qibla-e-hindostāñ
tere zarre mehr haiñ terī zamīñ hai āsmāñ
azmat-e-māzī kā dil-afroz nazzāra hai tū
mashriq-e-tahzīb kā pākīza gahvāra hai to
tere har pahlū meñ haiñ ehsās kī bedāriyāñ
tere har manzar meñ haiñ jazbāt kī sarshāriyāñ
hai ḳhizāñ nā-āshnā tere gulistāñ kī bahār
tujh pe hai sāya-fagan dāmān-e-lutf-e-kirdgār
tere dariyā-e-karam kā josh gauhar-bez hai
terī zar-afshāñ zamīñ kā faiz-e-mardum-ḳhez hai
jo javāhar tū ne chamkā.e haiñ apnī ḳhaak se
un kā siina bhar diyā hai jalva-e-idrāk se
vo 'valī' terā hī ik farzand hai ḳhāk-e-vatan
jis kī azmat ne kiyā dehlī meñ āġhāz-e-suḳhan
ruuh meñ jis ne bharī urdu ke be-jāñ jaam meñ
kaif-e-ehsās-e-amal hai jis ke har paiġhām meñ
ik hayāt-e-nau atā kī jis ne maujūdāt ko
jis ne dī ik rūh-e-tāza qalb-e-ehsāsāt ko
us fazā-e-āb-o-gil ko nuur jis ne kar diyā
zarre zarre ko jo ab tuur jis ne kar diyā
soz kī rañgīniyāñ barsā.eñ jis ne saaz se
jagmagā uTThe sitāre jis kī har parvāz se
jis kī fayyāzī se har qatra samundar ho gayā
jis ke naqsh-e-pā se har zarra munavvar ho gayā
jo nahīñ ham meñ magar ham yaad karte haiñ jise
dil ke sherisitān meñ ābād karne luuñ jise
muḳhlisāna yaad meñ jis kī hai apnā naam bhī
yād-e-māzī meñ hai mustaqbil kā ik paiġhām bhī
Top Urdushayar.com