suntā hai husn-e-shams-o-qamar dekhtā nahīñ
ya.anī nizām-e-shām-o-sahar dekhtā nahīñ
us ke bhī pairahan pe gunāhoñ ke daaġh haiñ
duniyā ko chāhtā hai magar dekhtā nahīñ
us ko bhī haiñ nasīb mohabbat kī lazzateñ
dil thāmtā hai tīr-e-nazar dekhtā nahīñ
us ke bhī dil meñ aag bhaḌaktī hai ishq kī
jaltā hai aur raqs-e-sharar dekhtā nahīñ
us ke bhī sar ne paayā hai ehsās-e-bandagī
sajda meñ gar tū jaatā hai dar dekhtā nahīñ
us ko sambhāl letī haiñ har baar Thokareñ
chaltā hai aur rāhguzar dekhtā nahīñ
bātoñ se taaḌ letā hai bātin kī hālateñ
miltā hai aur rū-e-bashar dekhtā nahīñ
hañstā hai sirf apne liye ġhair par nahīñ
rotā hai aur dāman-e-tar dekhtā nahīñ
ma.alūm hai tamavvul-o-ġhurbat kī kashmakash
āñkhoñ se imtiyāz-e-nazar dekhtā nahīñ
us ko sukūn chāhiye jiine ke vāste
rahtā hai aur apnā hī ghar dekhtā nahīñ