jabīn-e-zīst pe marqūm hai mirī āvāz
ki tū ne zinda kiye husn-o-ishq ke e.ajāz
badal badal ke tirī dhaḌkanoñ ko naam milā
kabhī navā-e-haqīqat navā-e-majāz
tirī sadā-e-mohabbat ne faash kar Daalā
vo rāz-e-hashr jo rakhtā hai ek mahshar-e-rāz
nishān-e-rāh kahīñ zindagī ke naqsh-e-qadam
kahīñ hayāt ke rauñde hue nasheb-o-farāz
kabhī to ashk meñ ḳhūn-e-jigar kā rañg-e-hayāt
kabhī to aah meñ dil kī dabī huī āvāz
nazar nazar meñ bahār-e-nigāh naġhma-e-ba-dosh
nafas nafas meñ ik ehsā-e-dard naġhma-tarāz
bahaktī shaam meñ tāroñ kā raqs rindāna
rupahlī sub.h kā kaliyoñ se vo jamīl andāz
vo phuul phuul pe shabnam kī zindagī manzūm
vo jharne jharne meñ kho.e hue se naġhma-o-sāz
bahaktī shaam meñ tāroñ kā raqs-e-rindāna
rupahlī-sub.h kā kaliyoñ se vo jamīl andāz
vo phuul phuul pe shabnam kī zindagī manzūm
vo jharne jharne meñ kho.e hue se naġhma-o-sāz
vo roz-e-abr meñ kaif-o-nashāt kī bārish
hasīn chāñdnī rātoñ kā vo latīf gudāz
tirī nigāh ne aisī nazākateñ pā.īñ
ki husn ḳhud hī pukārā ki maiñ huuñ ishq kā raaz
abhī fazāoñ meñ raqsāñ hai ban ke naġhma-e-shauq
ḳhayāl kī vo bulandī-e-nazar kī vo parvāz
matā-e-soz hai ḳhurshīd-o-māh meñ ab tak
jo tū ne chheḌā thā fikr-o-nishāt kā ik saaz
tirī latīf sadāoñ kī guuñj hai ab tak
abhī haiñ zohra-o-nāhīd gosh-bar-āvāz