Asad Jafri

mughal ki car

Asad Jafri

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1935
alag duniyā kī caroñ se muġhal kī car hai pyāre
sunā hai pichhle das sāloñ se ye bīmār hai pyāre
ka.ī farlāñg tak dhakkā lagāte haiñ to chaltī hai
pasīna chaar chhe sāthī bahāte haiñ to chaltī hai
ye chaltī hai to shofar ko bhalā kab hosh rahtā hai
har ik rahgīr tā-hadd-e-nazar rū-posh rahtā hai
kareñ revers to afsos ye aage ko chaltī hai
dabāte haiñ clutch is kā to battī is kī jaltī hai
haiñ is meñ jis qadar seateñ vo spriñgoñ se ḳhālī haiñ
gumāñ hotā hai āsār-e-qadīma se nikālī haiñ
ise raste meñ bas taqdīr hī roke to ruktī hai
muġhal kī aah par tāsīr hī roke to ruktī hai
Top Urdushayar.com