ai mirī begam na tū merī ḳhudī kamzor kar
ye sharīfoñ kā mohalla hai na itnā shor kar
mere aane par hai pābandī kabhī jaane pe hai
hai kabhī piine pe qadġhan aur kabhī khāne pe hai
merī har ḳhvāhish pe to kahtī hai ho kar ḳhashmagīñ
achchhe shauhar is tarah kī zid kiyā karte nahīñ
aaj kā shauhar jise karnā samajhtā hai harām
maiñ tire vo kaam bhī kartā huuñ mānind-e-ġhulām
kar na ThanDā sard-mehrī se mirā josh-e-talab
nāravā hai ye tashaddud nā-munāsib ye ġhazab