thakā-hārā azal kī vus.atoñ meñ ḳhaak kā putlā
hazāroñ man kī tārīkī tale thā sākit-o-jāmid
ghaḌī meñ kyā huā kyuuñ is qadar miTTī ke paikar ne
ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khāyā
kisī sayyāl mādde kā bahut shaffāf sā qatra
girā aur khub gayā, is ḳhaak ke be-laus TukḌe par
phir ik āvāz! shāyad thā sadā-e-kun se ġhul barpā
usī sayyāl mādde se banā ik jazba-e-sozāñ
mohabbat kī rutūbat ne talātum-ḳhez gardish kī
surūd-e-himmat-e-ālī usī mizrāb se phūTā
usī jauhar kī jumbish se to ġhairat sar uThātī hai
sitam ke zahr kā tiryāq āḳhir ''sāñch'' bantā hai