bachchoñ ne iid par jab na.are bahut lagā.e
maañ baap ne bhī apne dukhḌe unheñ sunā.e
tum ḳhud hī kah rahe ho mahñgā.ī baḌh ga.ī hai
aam aadmī bechārā kyā khaa.e kyā bachā.e
patlūn kī silā.ī pachchānve rūpa.e dī
urfī ke boot sāḌhe-chhai-sau ruupe meñ aa.e
be-mel suiT ho to ban jaa.e muñh zaman kā
sastī agar ho Topī faizān bhinbhinā.e
bachpan meñ khelte the miTTī ke ham khilaune
bijlī se chalne vaale guDDe tumheñ dilā.e
jaa.ez nahīñ taqāzā lālach burī balā hai
na.are lagā ke tum ne ghar bhar pe zulm Dhaa.e
tum ne to apne dil kī ammī se kah sunā.ī
abbā ke dil se pūchho biptā kise sunā.e
ye baat bhī girah meñ paisoñ ke saath bāñdho
sachchī ḳhushī vahī hai jo muft haath aa.e
achchhā hameñ sivayyāñ mil-jul ke tum khilāo
ham ne tumhāre paise is eid se baḌhā.e